|
Joined: Thu Apr 28, 2011 10:14 am Posts: 495
|
|
maskan-e-maah-o-saal chhoR gayaa dil ko us kaa Khayaal chhoR gayaa
(maskan : abode; maah-o-saal : months and years)
taazah-dam jism-o-jaaN the furqat meN vasl us kaa nidhaal chhoR gayaa
(taazah-dam : fresh; jism-o-jaaN : body and soul; furqat : separation; vasl : meeting; nidhaal : exhausted)
ahd-e-maazii jo thaa ajab purhaal aik viiraan haal chhoR gayaa
(ahd-e-maazii : time of past; purhaal : eventful)
zaala-baarii ke marhaloN kaa safar qaafile, paayemaal chhoR gayaa
(zaala-baarii : hailstorm; marhale : stages; paayemaal : devastated)
dil ko ab ye bhii yaad ho ke na ho kaun thaa , kyaa malaal chhoR gayaa
maiN bhii ab Khud se huuN javaab-talab vo mujhe be-savaal chhoR gayaa
|
|